logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - rizwan rizvi - 2019

Kehti thi qamar tham ke yeh fatima zehra

Kehti thi qamar tham ke yeh fatima zehra
Rudat e sitam kaise sunau tumhe. Baba

Tazeem kiya karte tey jis dar ke mohammed
Usdar ko jalate hai addu agh laga kar
Kehdo mere baba se ke dekhe yeh nazara

Aate tey jaha leke farishte bhi ijazat
Par dekhe zamana zara guztakiyeh ummat
Bin pochey jalatey rahey darwaza e zehra

Darwaze ki kilo se mera sina hai zakhmi
Ris ris ke kalejo se lahu hota hai jari
Har saas pe lagta hai ke marjaige dukhi

Jis dhum se mere phelu par darwaza gira hai
Usdum se mere hoton pe bus ek dua hai
Aye fiza Bacchalo mere mohsin ko khudara

Mai itne masaib mai girafatar hu baba
Majboor hu bekas hu mai lacchar hu baba
18 baras mai he' mai lagti hu zaefa

Ruksar mere neele hai aur usme waram hai
Takleef se lagta hai ab akhiri dhum hai
Zalim ne bht zor se mara hai tamacha

Ankho ne mere dekhe hai woh dard ka manzar
Haider ko rasn band ke lejatey hai dar dar
Sartaj ko apney na baccha paiye mariza

Ya rab gham e zehra ko chupane ka sabab ho
Ho gusl ka hungam toh tareeke yeh shab ho
Dekhe na ali mera yeh phelu e shikasta

Shahid ne masaib jo likhe binte nabi ke
Kohraam bapa hogaya rizwan ki sada se
Roti ha

HomebookmarkmybayaazSetting